
Yeh Barish kuch khatte kuch meethe pal laate hai,
Yeh barish teri yaad dilate hai,
Tere sang kaate wo saare pal
Inn boondon ke zaariye mere dil me utarte hain,
Kabhi ek hasi de jaate
Kabhi aankon me aansu bhar dete hain.
Yeh barish humesha teri yaad dilaate hai!
Humari pehli mulakat bhi iss barish ne karwai thi
Main tujhe dekhta raha aur tu nadiyan ki tarah nikal gai,
Jab tujhe apni zindagi me paaya toh socha ab meri hi rahegi
Par bhul gaya tha, tu abhi bhi nadi hai aur usi tarah bahegi.
Main sagar toh nahi ki tujhe khud me sama loon
Par main itna zarur kahunga, Main inn barish ki boondon ki tarah hoon,
Nadiyan ka hissa bann rahunga.
Tu meri nahi toh kya
Kahin na kahin main ab bhi tujhme hoon,
Kyun ki barish ko nadiyon se alag na kar paegi tu!




